Latest 135+ Dhoka Shayari in English For 2025

When it comes to expressing the pain of betrayal, Dhoka Shayari in English gives us the words our hearts often struggle to find. Whether you’ve experienced heartbreak in love, friendship, or life, these Shayari lines help you connect with your emotions and let them flow. On english-shayari.com, we bring you the best collection to help you express, heal, and connect with others who feel the same.
Have you ever felt let down by someone you trusted? You’re not alone. Shayari is a powerful way to share your feelings, find comfort, and connect with others who understand your pain1. Let’s explore some of the most heartfelt Dhoka Shayari in English that speak directly to the soul
Dhoka Shayari in English

Tum raho humse door to ek kaam kar jana,
Kuch pal apne hamare naam kar jana.
Barbad kar gaye wo zindagi pyar ke naam se,
Bewafai mili sirf wafa ke naam se.

Bar-bar maaf to kiya ja sakta hai,
Par bharosa sirf ek baar hi hota hai.
Wafaadaar aaj wohi milega,
Jise dhokha dene ka mauka na mila ho!

Dilon mein matlab aur zubaan se pyaar karte hain
Bahut se log duniya mein yahi karobar karte hain !!
Zindagi ki har mod par dhokhebaaz milein
Unmein paraaye kam, apne zyada milein !!

Jise humne apna samjha usne hi dhokha diya,
Jis par kiya bharosa usne hi dil tod diya!!
Woh log dhokha dete hain jinke chehre masoom hote hain,
Har kaanch ka tukda Kohinoor nahi hota!

Nafrat ki duniya mein kaun kiska hota hai,
Dhokha wahi deta hai jis par bharosa hota hai!
Dil to dukhta hai mera teri tasveer dekhkar,
Teri mohabbat ne meri zindagi ko ujaad diya.
Matlabi Dhoka Shayari in English

Din ka kya hai, din to sabka hi dhalega,
Dhokha dene wali, dhokha tujhe bhi milega!
Is matlabi duniya mein ishq sirf dikhawa hai,
Tujhe bhi dhoka milega yeh mera daawa hai.”

Yaari ka naam badnaam kar diya,
Jab matlab ke liye pyaar ka khel khela.
Kabhi matlab ke liye toh kabhi bas manoranjan ke liye,
Har koi pyaar dhoondh raha hai yahan zindagi ke liye!!

Kaam aaye na mushkil mein koi yahan,
Matlabi dost hain, matlabi yaar hain!
Dosti ka naam lete hain log,
Lekin matlab ke bina nibhaate nahi.

Pyaar ka naam badnaam kiya usne,
Jo rishte ko sirf matlab se joda.
Khud ke alaava kisi aur se aas nahin,
Dhokha kha chuki hoon bahut ab kisi pe vishwas nahin.

Yaad hai mujhe hamari pyaar ki kahani,
Teri bewafai ka dard aur meri aankhon ka paani!
Jhoothi duniya, jhootha pyar hai bas,
Matlab ke liye jeeta yahaan har insaan hai..!!
Dhoka Shayari in English Hindi

Dhoka aksar matlab
poora hone ke baad hi diya jaata hai
Saare raaz samjho lo lekin khud kyun unko lab par laao,
Dhokha dene wala ro de aisi shaan se dhokha khaao.

Dil to roz kehta hai mujhe koi sahaara chahiye,
Phir dimaag kehta hai kyun, tumhe dhokha dobaara chahiye !!
Tu bhi saada hai, kabhi chaal badalta hi nahi,
Hum bhi saada hain, isi chaal mein aa jaate hain !!
Pyaar ki keemat wahi jaanta hai jisne dhokha khaya ho,
Kyunki yahaan dhokhebaaz raja aur imaandar bhikhari ban jaata hai.
Arz kiya hai, tumne humein dhokha diya magar tumhe pyaar mile,
Mujhse bhi zyada deewana tumhe koi yaar mile!!
zara sa jhooth hi kah do mere bin tum adhoore ho
tumhaara kya bigadta hai zara si baat kehne mein
Aaj main khud se naaraz hoon,Duniya
ki naa maan kar, kyon sirf tera bharosa
kiya,Loot kar meri duniya ko,Tune
mujhe jaise bin maut hi maar diya.
Mahfil mein aksar tum hi yaad aate ho,
Jab zikr dhokhebaazi ka chalta hai . . !!
Khaayi thi kasmein jo umr bhar saath nibhaane ki,
Use todkar woh meri zindagi se door ho gayi!
Pyar Me Dhoka Shayari in English

Maine pyaar jitni tasalli se kiya, usne
dhokha bhi bahut maze se diya.”
Tere baad maine mohabbat ko,
Jab bhi likha gunah likha… |

Janab badi ajeeb aadat hai is adhoore ishq ki,
Jinse dillage hoti hai usi shakhs ko dhokha deti hai..!!
Tumse bichad kar bhi hum kyo zinda hai,
Tumse mohabbat karke hum bahut sharminda hai
Log kehte hain koi kisi ke,
Peeche martaa nahi lekin,
Ek baar sachchi mohabbat ho jaaye,
To insaan jeete jee mar jaata hai..!!
Sab kuch khatm kar diya maine tera pyaar mein,
Bas ye aansu hi hain jo Khatm hone ka naam nahi lete.
Mizaaj ishq ka badalne laga hai,Jisko humne
apna samjha,Wohi bewafa banne laga hai.
Tujhse pyaar bahut zyada tha,
Teri har baat ka mujhe andaza tha
Tune mujhe achanak kuch aisa dard de diya,
Dhokha ka tohfa mere dil ko de diya
Teri bewafai ne mujhe toot kar chhoda,
Par ab main khud ko sambhal kar raha hoon,
Tere dhokhe ko bhool kar khud se pyaar karne laga hoon,
Ab main apne khushiyon ke liye hi jee raha hoon.
Mohabbat ki duniya mein aakar to dekho,
Kisi se dil laga kar to dekho
Samajh jaoge ki dard kya hota hai,
Kabhi ishq mein thokar kha kar to dekho
Dosti Me Dhoka Shayari in English

“Dosti karo to hamesha muskara kar,
Kisi ko dhokha na dena apna bana kar!!
Dosti ka meri achha sila diya usne,
Musibat mein meri mujhe bhula diya usne!

Dhokhebaaz doston ki bas ek hi kahani hai,
Zaroorat padne par dhokha dena unki nishani hai!
Bahut se ehsaas mile zindagi mein,
Magar dosti – hira hai sada ke liye.
Saare Dost Ek Jaise Nahin Hote,
Kuchh Hamare Hokar Bhi Hamare Nahin Hote,
Aapse Dosti Karne Ke Baad Mahsoos Hua,
Kaun Kahta Hai Taare Zameen Par Nahin Hote…
Har Dost ko har Raaz mat btao
Suna hai…. Dost ke bhi Dost hote hain
dosti karo to dhoka mat dena
doston ko ansoon ka tohfa met dena
zindagy bhar roei koi dil se
kabhi kisi ko aisa moqa met dena.
Ye Fitna Aadmi Ki Khana-Wirani Ko Kya Kam Hai
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyun Ho
Dhoke-baaz kayi roop mein aate hai
Kabhi pyaar bankar toh kabhi dost bankar
Best Friend Dhoka Shayari in English

Garez ki dosti thi, matlab ka zamaana tha
Dil mein dushmani thi, dosti to bahaana tha.”
Khule aam dushmani kar lo
Magar dikhave ki dosti na karo.

Bade kismat wale hote hain woh log,
Jinko pyaar aur dosti mein dhokhebaazi ka shikar nahi banna padta hai.”
Mere ba’ad wafa ka dhokha aur kisi se mat karna,
Gaali degi duniya tujh ko, sar mera jhuk jayega.
Zakhm mere seene ke jab bhar jaayenge
Aansoo moti bankar bikhar jaayenge
Ye na poochho ke dhokha kisne diya
Varna apnon ke chehre utar jaayenge !!
Din ka kya hai din to sabka hi dhalega,
Dhokha dene wali dhokha tujhe bhi milega!
Ishq phir rang wo laaya hai ke jee jaane hai,
Dil ka ye rang banaya hai ke jee jaane hai.
Hatho Ki Lakeero Ke Fareb Me Mat Aana,
Jyotishon Ki Dukano Par Mukaddar Nahin Bikte.
Tere har jhooth pe yakeen tha mujhe,
Tune to baad mein, pehle maine hi khud ko dhokha diya!!
Dhoka Shayari in English for Boyfriend

Apni rooh se kiya tum par bharosa,
Phir bhi tumhara maksad tha sirf dhokha.”
“Tumne mere pyaar ka apne fayde ke liye istemal kiya,
Aur mujhe anant dard mein dooba diya.

Tumhare vaade sirf ek natak the,
Zarurat khatam hote hi tum chale gaye.
“Tumhara pyaar tha zeher, meetha par gehra,
Ab meri raaten sirf aansuon se bhari hain.
Tumhara pyaar ek jhooth tha, baatein thi jhooti,
Ab mera dil har toote pal mein dard mehsoos karta hai.
Tum the mera chaand, meri roshni,
Par chhod gaye mujhe andheron ki gehraai mein.
Tumne diya dard, jo bayaan na ho paaye,
Phir bhi dil kehta hai, ‘Tum mere the.’
Tumhare meethi baatein, gehri aur pyaari,
Ban gayi zakhm, jo rulaayein baar-baar.
Chhaya ki tarah saath chale,
Suraj chhupa toh gayab ho gaye.
Dil diya jaise khilta gulab,
Tumne kuchle bina kisi khayal ke.
Dard Dhoka Shayari in English

Nahi rakhte hum wafa ki umeed kisi se,
Humne har taraf bewafai jo payi hai
Kaha tha mat kar itni mohabbat,
Aye dil pyar ka dard tu seh nahi payega.

Mere dil ka dard kisne dikha hai,
Mujhe bas Khuda ne tarapte dekha hai.
Mohabbat sikha kar juda ho gaye,
Na socha na samjha khafa ho gaye
Yoon to koi bhi tanha nahi hota,
Chaah kar kisi se koi juda nahi hota.
Zakham nahi par dard ka ehsas hai,
Aisa lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi unke paas hai.
Lamha lamha saansein khatam ho rahi hain,
zindagi maut ke pehlu mein so rahi hai.
Us bewafa se na poochho meri maut ki wajah,
woh to zamaane ko dikhane ke liye ro rahi hai.
Zindagi ka pehla pyaar kaun bhulata hai,
yeh pehli baar hota hai, jab koi kisi ko khud se badhkar chahta hai
wo baat kya kare jiski koi khabar na ho.
wo dua kya karen jiska koi asar na ho.
kaise keh de ki lag jaye hamaari umar aapako.
kya pata agle pal hamaari umar na ho.
Also Read : Sad Shayari in English
FAQs
Last Words
Betrayal hurts, but expressing your feelings through Dhoka Shayari in English can help you heal. Whether it’s love, friendship, or trust that’s been broken, remember you’re not alone. Let these Shayari lines speak for your heart and help you move forward. If any Shayari touched you, share it with your friends or leave a comment below—your story might help someone else feel less alone.